Wednesday, 23 October 2013

hindi Shayari

yeh kya falsafa hai
Aaj fankaar fakhir hai,
aur Faraibi Farishtaa,
Rahat ka farmaan hai,
Nazuk halaat hai,
Fasal kamzor hai,
Nasal Gumrah hai,
Raftaar mein naya daur hai,
Nafrat aur dagha bazi hai,
Zalim zabaan hai,
Zakhmi zameer hai,
Zillat ki zindagi hai,
Qurbaan Gulistan hai,
Mashwara bekar hai,
allah ki barkat hai,
Faasley par manjil hai,
Abhi jannat aur bhi dur hai...

No comments:

Post a Comment